main dur ho ke bhi us se kabhi juda na hua
ki us ke baad kisi ka bhi aashna na hua
tamam umr mera mujh se iKHtilaf raha
gila na kar jo kabhi tera ham-nawa na hua
wo jate jate dilase bhi de gaya kya kya
ye aur baat ki phir us se rabta na hua
hazar shukr salamat hai mera sar ab bhi
hazar dushman-e-jaan se bhi dostana hua
zara si choT pe jhankar gunj uThti hai
ki saz TuT gaya phir bhi be-sada na hua
kuchh itna sahl nahin tha zamir ka sauda
bala se main kabhi ahl-e-qaba hua na hua
ajab hai yaadon ki bahti hui ye KHushk nadi
lahu ko aankh se Tapke hue zamana hua
Ghazal
Main dur ho ke bhi us se kabhi juda na hua
Lutf-ur-rahman