main chup kam raha aur roya ziyaada
yaqinan zamin kam hai dariya ziyaada
shab-e-wasl murgh-e-sahar yaad rakhna
zaban kaT lunga jo roya ziyaada
main nazuk-mizaji se waqif hun qasid
isi wajh KHat mein na likkha ziyaada
do bose liye us ne do galiyan din
na lena ziyaada na dena ziyaada
wo sair-e-chaman ke liye aa raha hai
akaDna na shamshad itna ziyaada
wo utna hi banta hai hirs-e-mujassam
KHuda jis ko deta hai jitna ziyaada
amal par mujhe e'timad apne kam hai
KHuda ke karam par bharosa ziyaada
jo aankhen tere KHak-e-dar se hain raushan
milaya hai shayad mamira ziyaada
mujhe ulfat-e-zulf jab se hai 'parwin'
batate hain wo josh-e-sauda ziyaada
Ghazal
Main chup kam raha aur roya ziyaada
Parveen Umm-e-Mushtaq

