main boli tere lab par hai hansi meri
wo bola mat baDhao bekali meri
main boli shahzade mol kya mera
wo bola shahzadi zindagi meri
mein boli tirgi har-su ziyaada hai
wo bola phailne do raushni meri
main boli hijr mein kaise jiyoge tum
wo bola ruk na jae sans hi meri
main boli KHwab kis ka dekhte ho tum
wo bola aankh mein dekho kabhi meri
main boli kyun bahut bechain rahte ho
wo bola qahr hai dil ki lagi meri
main boli tum suKHan ke shahzade ho
wo bola tum ho jaanan shairi meri
main boli zindagi par dukh ke sae hain
wo bola tum 'rabab' ab har KHushi meri
Ghazal
Main boli tere lab par hai hansi meri
Fauziya rabab