main bhi huzur-e-yar bahut der tak raha 
aankhon mein phir KHumar bahut der tak raha 
kal sham mere qatl ki tariKH thi magar 
dushman ka intizar bahut der tak raha 
ab le chala hai dasht mein mera junun mujhe 
is jin pe iKHtiyar bahut der tak raha 
wo inkishaf-e-zat ka lamha tha khul gaya 
shayad darun-e-ghaar bahut der tak raha 
ab dekhte ho koi sahaara mile tumhein 
main bhi to ashk-bar bahut der tak raha 
tum maslahat kaho ya munafiq kaho mujhe 
dil mein magar ghubar bahut der tak raha 
main KHak aasman ki bulandi ko dekhta 
apnon pe e'tibar bahut der tak raha 
ilzam-e-KHud-sari bhi to sabit kiya gaya 
main jab ki KHaksar bahut der tak raha 
'sahil' meri bala se mera hashr hoga kya 
duniya mein ba-waqar bahut der tak raha
        Ghazal
Main bhi huzur-e-yar bahut der tak raha
KHalid Malik u0027Sahilu0027

