main bhi aage baDhun aur bhiD ka hissa ho jaun
is se achchha to yahi hai ki main tanha ho jaun
pyas ko meri jo ek jam na de paya kabhi
tishnagi us ki ye kahti hai main dariya ho jaun
mujh ko jakDe hue rishton ki haqiqat mat puchh
bas chale mera agar to main akela ho jaun
le ke jaun kahan ehsas-e-wafadari ko
dil to kahta hai ki main bhi tere jaisa ho jaun
ho kisi taur to duniya ki tawajjoh mujh par
ek do pal ke liye main bhi tamasha ho jaun
dil ki majburi ajab chiz hai warna 'jawed'
kaun chahega bhala KHud ki main ruswa ho jaun
Ghazal
Main bhi aage baDhun aur bhiD ka hissa ho jaun
Javed Naseemi