اردو हिंदी
Main azal ka rah-rau mujhko abad ki justuju | Shaahi Shayari
main azal ka rah-rau mujhko abad ki justuju

Ghazal

Main azal ka rah-rau mujhko abad ki justuju

Arif Abdul Mateen

;

main azal ka rah-rau mujh ko abad ki justuju
gard-e-rah mere jilau mein sath mere main na tu

zard tha chehra magar masrur tha pahlu mein dil
barg-e-gul jab le uDa chupke se mera rang-o-bu

mujh ko apne shahar ka har ek zarra hai aziz
ai hawa le ja uDa kar KHak meri ku-ba-ku

waqt ka dariya ki jis mein main kanwal ban kar khula
sochiye to bahr hai aur dekhiye to aabju

main musawwir hun magar taswir hai KHaliq meri
rang bharti hai mere KHake mein meri aarzu

zat ka aaina jab dekha to hairani hui
main na tha goya koi mujh sa tha mere ru-ba-ru

lazzat-e-KHud-agahi ka faiz hai 'arif' ki hum
pahron apne aap se rahte hain mahw-e-guftugu