main apni haisiyat se kuchh ziyaada le ke aaya hun
main qatra hun magar hamrah dariya le ke aaya hun
mujhe bhi kuchh attar kar de ujala banTne wale
teri KHidmat mein tamhid-e-tamanna le ke aaya hun
tumhaari aankh ke raste tumhaare dil mein utrunga
main azm-o-hausla puKHta irada le ke aaya hun
ajal ne kaam apna kar diya rishwat nahin khai
main kafi der tak chiKHa ki paisa le ke aaya hun
chale aao ki pahle ki tarah matam karen mil kar
main apne dil ke armanon ka lasha le ke aaya hun
mujhe har haal mein tarikiyon ka sar kuchalna hai
hatheli par uga kar chand tara le ke aaya hun
meri tahrir se 'saghar' abhi tak KHun Tapakta hai
main in kaghaz ke TukDon mein kaleja le ke aaya hun
Ghazal
Main apni haisiyat se kuchh ziyaada le ke aaya hun
Imran Saghar