main apne jism ki diwar mein chunun KHud ko
phir apne-ap se baaten karun sunun KHud ko
tamam shahr mein bikhra paDa hai mera wajud
koi batae bhala kis tarah chunun KHud ko
nikal paDa hun main ham-zad DhunDne apna
laga ke baiTha hua hun ajab junun KHud ko
mere wajud ke sab tane-bane uljhe hain
kidhar kidhar se main suljhaun aur banun KHud ko
wo chiz kya hai ki jis ki talash mein 'athar'
udheD udheD ke apna badan dhunon KHud ko
Ghazal
Main apne jism ki diwar mein chunun KHud ko
Mirza Athar Zia