main apne dast par shab KHwab mein dekha ki aKHgar tha
sahar ko khul gai jab aankh mera hath dil par tha
na thi ta-subh kuchh hajat charag o shama o mishal ki
hamari bazm mein shab jalwa-gar wo mah-e-paikar tha
teri ek jumbish-e-abru se aalam ho gaya zae
nazar kar jis taraf dekha to jo dhaD tha so be-sar tha
tu is raftar o qad se jis taraf guzra mere sahib
tere faiz-e-qadam se har qadam sarw o sanobar tha
na thi parwaz ki taqat sar-e-diwar-e-gulshan tak
ki jo tair tha so sayyaad ke hathon se be-par tha
chala jata tha 'hatim' aaj kuchh wahi-tabahi sa
jo dekha hath mein us ke tere shikwe ka daftar tha
Ghazal
Main apne dast par shab KHwab mein dekha ki aKHgar tha
Shaikh Zahuruddin Hatim