اردو हिंदी
Main apne-ap se barham tha wo KHafa mujhse | Shaahi Shayari
main apne-ap se barham tha wo KHafa mujhse

Ghazal

Main apne-ap se barham tha wo KHafa mujhse

Farhat Shahzad

;

main apne-ap se barham tha wo KHafa mujh se
sukun se kaise guzarta ye rasta mujh se

ghazal suna ke kabhi nazm gunguna ke meri
wo kah raha tha mere dil ka majra mujh se

guzar ke waqt ne gunga bana diya tha jinhen
wo lafz mang rahe hain nai sada mujh se

na gul ki koi KHabar hai na baat gulshan ki
KHafa si lagti hai kuchh roz se saba mujh se

wo jis ne KHwab mere pal mein qatl kar Dale
KHiraj mangne aaya hai KHun ka mujh se

niyaz-mand raha main bhi us ka sab ki tarah
ki koi bhanp na le us ka silsila mujh se

aziz mujh ko hain tufan sahilon se siwa
isi liye hai KHafa mera naKHuda mujh se

na jaane kaun si mahfil mein kis ke sath hun main
hai munqat'a mera apna bhi rabta mujh se

bas ek bar nazar bhar ke main ne dekha tha
nazar mila na saka phir wo be-wafa mujh se