main andheron ke nagar se bhi guzar aaya to kya
bujh gain aankhen meri wo ab nazar aaya to kya
kho gae din ke ujalon mein mere KHwabon ke chand
arsh se ab chand bhi koi utar aaya to kya
main to ek gahre samundar mein utar jaane ko hun
tu KHiraj-e-ashk le kar ab agar aaya to kya
ghar se aane wale tiron ka nishana ban gaya
main muqabil ghair ke sina-sipar aaya to kya
ye dar-o-diwar bhi ab to nahin pahchante
main safar se lauT kar bhi apne ghar aaya to kya
bah gae sailab ke dhaaron mein jab sare makin
ab tujhe 'akram' KHayal-e-baam-o-dar aaya to kya

Ghazal
Main andheron ke nagar se bhi guzar aaya to kya
Peer Akram