main andheron ka pujari hun mere pas na aa
apne mahaul se aari hun mere pas na aa
rup-mahlon ki tu rani hai tera nam baDa
main to kaliyon ka bhikari hun mere pas na aa
meri aawaz ne kitne hi chaman phunk diye
nala-e-subh-e-bahaari hun mere pas na aa
ranj-o-alam ke sahraon mein dariya ban kar
main baDe zor se jari hun mere pas na aa
Thik hai dost wahi hun main tera 'ram' magar
ab main haalat se aari hun mere pas na aa
Ghazal
Main andheron ka pujari hun mere pas na aa
Ram Riyaz

