main ahl-e-dahr ki nazron mein be-aqida sahi
ulaT naqab ki nadida aaj dida sahi
hawa-e-kucha-e-mahbub ka hun daman-gir
hazar daman-e-mahbub na-rasida sahi
tasawwuraat tere husn se hain wabasta
talluqat teri zat se kashida sahi
meri buland KHayali mein kya kami aai
main arsh-zad nahin KHak-e-afrida sahi
mujhe nahin na sahi ho adu ko chain nasib
bashar ka dukh hai mujhe main bashar gazida sahi
jise mila hai use mast kar gaya 'sahba'
mere KHayal ka baada-suKHan kashida sahi

Ghazal
Main ahl-e-dahr ki nazron mein be-aqida sahi
Sahba Akhtar