اردو हिंदी
Main abhi se kis tarah un ko bewafa kahun | Shaahi Shayari
main abhi se kis tarah un ko bewafa kahun

Ghazal

Main abhi se kis tarah un ko bewafa kahun

Nushur Wahidi

;

main abhi se kis tarah un ko bewafa kahun
manzilon ki baat hai raste mein kya kahun

husn-e-be-hijab par koi parda Dal lo
tum use sanam kaho main use KHuda kahun

ai haris-e-mai-kada KHun-e-zindagi na pi
tu sharab agar piye tujh ko parsa kahun

gesu-e-siyah ki ye hasin daraaziyan
raat kyun kahun unhen raat ki dua kahun

tarjuman-e-raaz hun ye bhi kaam hai mera
us lab-e-KHamosh ne mujh se jo kaha kahun

ghair mera haal-e-gham puchhte rahe magar
doston ki baat hai dushmanon se kya kahun

imtihan-e-shauq hai aisi aashiqi 'nushur'
dil ka koi haal ho un ko dilruba kahun