mai piye mast hai sarshaar kahan jata hai
is shab-e-tar mein ai yar kahan jata hai
tegh-bar-dosh sipar hath mein daman-gardan
ye bana surat-e-KHunKHar kahan jata hai
dil ko aaram nahin ek bhi dam yan tujh bin
tu mere pas se dildar kahan jata hai
ek aalam abhi hairat-zada kar aaya tu
phir ab ai aaina-ruKHsar kahan jata hai
jam-o-mina-o-mai-o-saqi-o-mutrib ham-rah
is sar-anjam se 'bedar' kahan jata hai
Ghazal
Mai piye mast hai sarshaar kahan jata hai
Meer Mohammadi Bedar