mahtab nahin nikla sitare nahin nikle
dete jo shab-e-gham mein sahaare nahin nikle
kal raat nihatta koi deta tha sadaen
hum ghar se magar KHauf ke mare nahin nikle
kya chhoD ke basti ko gaya tu ki tere baad
phir ghar se tere hijr ke mare nahin nikle
baiThe raho kuchh der abhi aur muqabil
arman abhi dil ke hamare nahin nikle
nikli to hain saj-dhaj ke teri yaad ki pariyan
KHwabon ke magar raj dulare nahin nikle
kab ahl-e-wafa jaan ki bazi nahin haare
kab ishq mein jaanon ke KHasare nahin nikle
andaz koi Dubne ke sikhe to hum se
hum Dub ke dariya ke kinare nahin nikle
wo log ki the jin pe bharose hamein kya kya
dekha to wahi log hamare nahin nikle
ashaar mein daftar hai maani ka bhi 'rahbar'
hum lafzon hi ke mahz sahaare nahin nikle
Ghazal
Mahtab nahin nikla sitare nahin nikle
Rajendra Nath Rahbar