mahrum-e-KHwab dida-e-hairan na tha kabhi
tera ye rang ai shab-e-hijran na tha kabhi
tha lutf-e-wasl aur kabhi afsun-e-intizar
yun dard-e-hijr silsila-jumban na tha kabhi
pursan na tha koi to ye ruswaiyan na thin
zahir kisi pe haal-e-pareshan na tha kabhi
har-chand gham bhi tha magar ehsas-e-gham na tha
darman na tha to matam-e-darman na tha kabhi
din bhi udas aur meri raat bhi udas
aisa to waqt ai gham-e-dauran na tha kabhi
daur-e-KHizan mein yun mare dil ko qarar hai
main jaise aashna-e-bahaaran na tha kabhi
kya din the jab nazar mein KHizan bhi bahaar thi
yun apna ghar bahaar mein viran na tha kabhi
be-kaif be-nashat na thi is qadar hayat
jina agarche ishq mein aasan na tha kabhi
Ghazal
Mahrum-e-KHwab dida-e-hairan na tha kabhi
Nasir Kazmi