mahmil hai matlub na laila mangta hai
chaak-gireban qais to sahra mangta hai
hijr sar-e-virana-e-jaan bhi mohr-ba-lab
wasl gali-kuchon mein charcha mangta hai
is aaina-KHane ka har raqs-kunan
apne samne apna tamasha mangta hai
na-ummidi lakh qafas ijad kare
tair-e-dil parwaz-e-tamanna mangta hai
umr bitata hai imroz mein aur makin
darwaze par dastak-e-farda mangta hai
dhup jawani ka yarana apni jagah
thak jata hai jism to saya mangta hai
bandh sag-e-awara chaukhaT ke andar
ek musafir tujh se rasta mangta hai
log tawalat se ghabraate hain warna
ek zamana sidha rasta mangta hai
Ghazal
Mahmil hai matlub na laila mangta hai
Ejaz Gul