mahfilen luT gain jazbaat ne dam toD diya
saz KHamosh hain naghmat ne dam toD diya
har masarrat gham-e-diroz ka unwan bani
waqt ki god mein lamhat ne dam toD diya
an-ginat mahfilen mahrum-e-charaghan hain abhi
kaun kahta hai ki zulmat ne dam toD diya
aaj phir bujh gae jal jal ke umidon ke charagh
aaj phir taron bhari raat ne dam toD diya
jin se afsana-e-hasti mein tasalsul tha kabhi
un mohabbat ki riwayat ne dam toD diya
jhilmilate hue ashkon ki laDi TuT gai
jagmagati hui barsat ne dam toD diya
hae aadab-e-mohabbat ke taqaze 'saghar'
lab hile aur shikayat ne dam toD diya
Ghazal
Mahfilen luT gain jazbaat ne dam toD diya
Saghar Siddiqui