mahfilen KHwab huin rah gae tanha chehre
waqt ne chhin liye kitne shanasa chehre
sari duniya ke liye ek tamasha chehre
dil to parde mein rahe ho gae ruswa chehre
tum wo bedard ki muD kar bhi na dekha un ko
warna karte rahe kya kya na taqaza chehre
kitne hathon ne tarashe ye hasin taj-mahal
jhankte hain dar-o-diwar se kya kya chehre
soe patton ki tarah jagti kaliyon ki tarah
KHak mein gum to kabhi KHak se paida chehre
KHud hi virani-e-dil KHud hi charagh-e-mahfil
kabhi mahrum-e-tamanna kabhi shaida chehre
KHak uDti bhi rahi abr barasta bhi raha
hum ne dekhe kabhi sahra kabhi dariya-chehre
yahi imroz bhi hangama-e-farda bhi yahi
pesh karte rahe har daur ka naqsha chehre
dip jalte hi rahe taq pe armanon ke
kitni sadiyon se hai har ghar ka ujala chehre
KHatm ho jaen jinhen dekh ke bimari-e-dil
DhunDh kar laen kahan se wo masiha chehre
dastan KHatm na hogi kabhi chehron ki 'jamil'
husn-e-yusuf to kabhi ishq-e-zuleKHa chehre
Ghazal
Mahfilen KHwab huin rah gae tanha chehre
Jameel Malik