mahfil-e-naz se main ho ke pareshan uTha
baiThne bhi nahin paya tha ki tufan uTha
zid na kar ai dil-e-nashad, kaha man uTha
ghar mein rahne ka Thikana nahin saman uTha
ban rawadar ye apnon ki shikayat kaisi
nam isi ka to murawwat hai ki nuqsan uTha
sab sitare nahin is rahguzar ke zarre
dil ke TukDe bhi inhin mein to hain pahchan, uTha
Thokaren kha ke musibat ki samajh to aai
aadmi ban to gaya, chaunk to insan uTha
maslahat waqt ki aaj aur hai ai baada-farosh
kal ki kal sochenge is waqt to dukkan uTha
aise bohtan lagae ki KHuda yaad aaya
but ne ghabra ke kaha mujh se ki quran uTha
aaj hai kis liye aisa tera andaz-e-hijab
ajnabi kaun hai mahfil mein pakaD kan uTha
dekh ye bar kabhi sar se utarta hi nahin
zindagi bhar ki musibat hai na ehsan uTha
sher-goi nae andaz ki tajdid-e-KHayal
dekhna chahe to 'natiq' mera diwan uTha
Ghazal
Mahfil-e-naz se main ho ke pareshan uTha
Natiq Gulavthi