magar wo did ko aaya tha bagh mein gul ke
ki bu kuchh aur main pai dimagh mein gul ke
adu bhi ho sabab-e-zindagi jo haq chahe
nasim-e-subh hai roghan charagh mein gul ke
chaman khilen hain pahunch baada le ke ai saqi
girafta-dil mujhe mat kar faragh mein gul ke
nahin hai ja-e-tarannum ye bostan ki nahin
siwae KHun-e-jigar mai ayagh mein gul ke
ali ka naqsh-e-qadam DhunDhta hai yun 'sauda'
phire hai baad-e-sahar jun suragh mein gul ke

Ghazal
Magar wo did ko aaya tha bagh mein gul ke
Sauda Mohammad Rafi