اردو हिंदी
Magar in aankhon mein kis subh ke hawale the | Shaahi Shayari
magar in aankhon mein kis subh ke hawale the

Ghazal

Magar in aankhon mein kis subh ke hawale the

Farooq muztar

;

magar in aankhon mein kis subh ke hawale the
hamare nam ke sare huruf kale the

ye KHak-o-baad ye zulmat-o-nur-o-bahr-o-bar
kitab-e-jaan mein ye kis zat ke hawale the

hai rang rang magar aaftab aaina
jabin-e-shab pe to likkhe sawal kale the

misal-e-barq giri ek aan tegh-e-hawa
abhi darichon se logon ne sar nikale the

yahan jo aaj shajar saya-dar hai 'muztar'
yahin pe hum bhi kabhi barg-o-bar wale the