mafrur kabhi KHud par sharminda nazar aae
mumkin hai chhupa chehra aainda nazar aae
wallah sharafat kya aslaf ne pai thi
gardish mein rahe lekin tabinda nazar aae
qurban jo hue haq par kab maut unhen aai
sadiyon ke tasalsul mein wo zinda nazar aae
KHurshid-e-muqaddar ke bujhne se bujhe kab hum
zulmat mein sitaron se raKHshanda nazar aae
lagta hai juda sab se kirdar 'wasim' us ka
wo shahr-e-mohabbat ka bashinda nazar aae

Ghazal
Mafrur kabhi KHud par sharminda nazar aae
Waseem Malik