اردو हिंदी
Machalti hai mere sine mein teri aarzu kya kya | Shaahi Shayari
machalti hai mere sine mein teri aarzu kya kya

Ghazal

Machalti hai mere sine mein teri aarzu kya kya

Farogh Haiderabdi

;

machalti hai mere sine mein teri aarzu kya kya
liye phirti hai teri chah mujh ko ku-ba-ku kya kya

rahi hai baad-e-murdan bhi tumhaari justuju kya kya
ghubar-e-KHak-e-marqad uD raha hai chaar-su kya kya

kabhi aashiq ko samjhaya kabhi ghairon ko bahlaya
fareb-amez hain chaalen teri o hila-ju kya kya

rihai di mujhe qaid-e-alaiq se inayat ki
kisi ki tegh ka mamnun hai mera gulu kya kya

bahaaren luTta hun aap ke tashrif lane mein
phala-phula hai mera aaj naKHl-e-arzu kya kya

tumhein bhi yaad hain kuchh qaul-o-iqrar-o-qasam apne
hui thi darmiyan mere tumhaare guftugu kya kya

KHayal-e-hijr se haalat taghayyur hoti jati hai
uDa jata hai mere dil se rang-e-arzu kya kya

tumhaare waste sun lete hain har ek ki baaten
hamein kah jate hain baaton hi baaton mein adu kya kya

adu ki minnaten ki hain qadam chume hain darban ke
'farogh' be-sar-o-saman hua be-abru kya kya