mayus-e-azal hun ye mana nakaam-e-tamanna rahna hai
jate ho kahan ruKH pher ke tum mujh ko to abhi kuchh kahna hai
khinchenge wahan phir sard aahen aankhon se lahu phir bahna hai
afsana kaha tha jo hum ne dohra ke wahin tak kahna hai
dushwar bahut ye manzil thi mar miT ke tah-e-turbat pahunche
har qaid se hum aazad hue duniya se alag ab rahna hai
rakhta hai qadam is kucha mein zarre hain qayamat-za jis ke
anjam-e-wafa hai nazron mein aaghaz hi se dukh sahna hai
ai paik-e-ajal tere hathon aazad-e-talluq ruh hui
ta-hashr badal sakta hi nahin hum ne wo libas ab pahna hai
ai girya-e-KHun tasir dikha ai josh-e-fughan kuchh himmat kar
rangin ho kisi ka daman bhi ashkon ka yahan tak bahna hai
apna hi sawal ai 'dil' hai jawab is bazm mein aaKHir kya kahiye
kahna hai wahi jo sunna hai sunna hai wahi jo kahna hai
Ghazal
Mayus-e-azal hun ye mana nakaam-e-tamanna rahna hai
Dil Shahjahanpuri