masum KHwahishon ki pashimaniyon mein tha
jine ka lutf to inhin nadaniyon mein tha
aanhken bichhate har kas-o-nakas ki rah mein
yun jazba-e-KHulus farawaniyon mein tha
naddi mein pahron jhankte rahte the pul se hum
kya bhed tha jo bahte hue paniyon mein tha
patthar bane khaDe the tajassus ke dasht mein
dil gum tilism-e-shauq ki hairaniyon mein tha
yun reng reng kar na guzarte the roz o shab
dariya-e-zist bhi kabhi jaulaniyon mein tha
sanjidgi ki gahri lakiron mein Dhal gaya
masumiyat ka nur jo peshaniyon mein tha
ek ghar bana ke kitne jhamelon mein phans gae
kitna sukun be-sar-o-samaniyon mein tha
din aarzu ke yunhi udasi mein kaT gae
wo apne dukh mein apni pareshaniyon mein tha
us ke liye bhi zindagi pal pal azab thi
wo bhi sulagte waqt ke zindaniyon mein tha
wo zabt o e'tidal o tawazun kahan 'riyaz'
meyar-e-fan ki jo kabhi yunaniyon mein tha
Ghazal
Masum KHwahishon ki pashimaniyon mein tha
Riaz Majeed