اردو हिंदी
Mani-taraaz-e-ishq har ek baada-KHwar tha | Shaahi Shayari
mani-taraaz-e-ishq har ek baada-KHwar tha

Ghazal

Mani-taraaz-e-ishq har ek baada-KHwar tha

Munshi Naubat Rai Nazar Lakhnavi

;

mani-taraaz-e-ishq har ek baada-KHwar tha
is mai-kade mein mast jo tha hoshiyar tha

tamhid thi junun ki gareban hua jo chaak
yani ye KHair-maqdam-e-fasl-e-bahaar tha

banne lage hain dagh sitare KHusha-nasib
tarik aasman-e-shab-e-intizar tha

the zindagi ke sath mohabbat ke karobar
aaKHir kisi ke dar pe hamara mazar tha

marne pe bhi kaTa na azab-e-gham-e-firaq
kunj-e-lahad KHulasa-e-shab-ha-e-tar tha

aaghaz-e-ishq hi mein mujhe chup si lag gai
ek baat bhi na ki ki nafas raazdar tha

kya lutf de gaya wo fareb-e-wafa ka daur
goya kisi ke dil pe hamein e'tibar tha

duniya se rah-rawan-e-mohabbat guzar gae
is karwan ka aalam-e-hasti ghubar tha

chhuT kar qafas se main na gaya su-e-bostan
aaKHir fareb-KHurda-e-fasl-e-bahaar tha

ek aah-e-garm hum ne bhari thi shab-e-firaq
jal kar sahar ko KHak dil-e-be-qarar tha

fursat mili na hum ko tamasha-e-dahr ki
har zarra husn-e-yar ka aaina-dar tha

ek laKHt-e-dil bacha tha magar wo bhi ai 'nazar'
aaKHir ko nazr-e-dida-e-KHun-naba-yar tha