mangen na hum bahisht na ho wan agar sharab
dozaKH mein Dal dijiye dije magar sharab
zahid ke baKHt-e-bad ki hai KHubi wagarna kyun
chhoDe koi sharab ki ummid par sharab
tauba to hum ne ki hai par ab tak ye haal hai
pani bhar aae munh mein dikha den agar sharab
goya sharab hi se bhara umr ka qadah
maut us ki KHub hai jo piye umr bhar sharab
samjha nahin ki jite hain murde isi tarah
chhiDke wagarna kyun wo meri KHak par sharab
hai lutf-e-zist ye ki wo baiTha ho ru-ba-ru
bikhre hon phul idhar to dhari ho udhar sharab
be-KHud kiya jahan ko teri chashm-e-mast ne
thi kaisi is pyale mein ai fitna-gar sharab
chashm-e-siyah mast nigah mast aap mast
pita hai dil-lagi ko but-e-ishwa-gar sharab
tauba mein hum na khaenge ilzam kya hua
ik-adh yar pi gae gar bhul kar sharab
Ghazal
Mangen na hum bahisht na ho wan agar sharab
Meer Mehdi Majrooh