اردو हिंदी
Mana ki yahan apni shanasai bhi kam hai | Shaahi Shayari
mana ki yahan apni shanasai bhi kam hai

Ghazal

Mana ki yahan apni shanasai bhi kam hai

Zia Zameer

;

mana ki yahan apni shanasai bhi kam hai
par tere yahan rasm-e-pazirai bhi kam hai

han taza gunahon ke liye dil bhi hai betab
aur pichhle gunahon ki saza pai bhi kam hai

kuchh kar-e-jahan jaan ko ziyaada bhi lage hain
kuchh ab ke baras yaad teri aai bhi kam hai

kuchh gham bhi mayassar hamein ab ke hain ziyaada
kuchh ye ki masiha ki masihai bhi kam hai

kuchh zulm o sitam sahne ki aadat bhi hai hum ko
kuchh ye hai ki darbar mein sunwai bhi kam hai