اردو हिंदी
Mana dukh ko thoDa kam kar deti hain | Shaahi Shayari
mana dukh ko thoDa kam kar deti hain

Ghazal

Mana dukh ko thoDa kam kar deti hain

Sachin Shalini

;

mana dukh ko thoDa kam kar deti hain
par KHushiyan bhi aankhen nam kar deti hain

pyar ki kaliyan jab bhi dil mein khilti hain
main aur tum ko aksar hum kar deti hain

jab yaadon ke phul palak par khilte hain
aankhen ashkon ko shabnam kar deti hain

is se ziyaada kaun 'sachin' dhokha dega
jism ko sansen hi be-dam kar deti hain