mamuli be-kar samajhne wale mujh se dur rahen
mujh ko ek aazar samajhne wale mujh se dur rahen
pagal-pan mein aa kar pagal kuchh bhi to kar sakta hai
KHud ko izzat-dar samajhne wale mujh se dur rahen
hans paDta hun jab koi haalat ka rona rota hai
jiwan ko dushwar samajhne wale mujh se dur rahen
main waqif hun rangon ki har rang badalti fitrat se
raunaq ko bazar samajhne wale mujh se dur rahen
majnun aur shahon mein kuchh din main bhi uTTha baiTha hun
sahra ko gulzar samajhne wale mujh se dur rahen
manzil ki KHwahish hai jin ko aaen mere sath chalen
raston ko hamwar samajhne wale mujh se dur rahen
aanchal aur malbus pe jin ki aankhen chipki rahti hain
un ko ba-kirdar samajhne wale mujh se dur rahen
'faiz-alam-babar' KHud bhi yar hai jaane kis kis ka
yaron ko makkar samajhne wale mujh se dur rahen
Ghazal
Mamuli be-kar samajhne wale mujhse dur rahen
Faiz Alam Babar