mamul pe sahil rahta hai fitrat pe samundar hota hai
tufan jo Dubo de kashti ko kashti hi ke andar hota hai
jo fasl-e-KHizan mein kanTon par raqsan-o-ghazal-KHwan guzre the
wo mausam-e-gul mein bhul gae phulon mein bhi KHanjar hota hai
har sham charaghan hota hai ashkon se hamari palkon par
har subh hamari basti mein jalta hua manzar hota hai
ab dekh ke apni surat ko ek choT si dil par lagti hai
guzre hue lamhe kahte hain aaina bhi patthar hota hai
is shahr-e-sitam mein pahle to 'manzur' bahut se qatil the
ab qatil KHud hi masiha hai ye zikr barabar hota hai
Ghazal
Mamul pe sahil rahta hai fitrat pe samundar hota hai
Malikzada Manzoor Ahmad