اردو हिंदी
Mah-ru yan hazar ko dekha | Shaahi Shayari
mah-ru yan hazar ko dekha

Ghazal

Mah-ru yan hazar ko dekha

Miskeen Shah

;

mah-ru yan hazar ko dekha
hum ne ab tak na yar ko dekha

umr bhar muntazir rahe us ke
rah ke intizar ko dekha

wada-e-hashr log kahte hain
hum ne wo bhi qarar ko dekha

koi aaya nazar na us ja bhi
jab dil-e-gham-gusar ko dekha

rah gae na-murad duniya mein
kitne sar iftiKHar ko dekha

bagh-e-hasti mein surKH-ru na hue
gul ke har KHar KHar ko dekha

ganj jis ja hai us jagah 'miskin'
baiThe rahte hain mar ko dekha