mah o anjum ki raushni gum hai
kya har ek bazm se KHushi gum hai
chand dhundla hai chandni gum hai
husn walon mein dil-kashi gum hai
zindagi gum na dosti gum hai
ye haqiqat hai aadmi gum hai
is taraqqi ko aur kya kahiye
shahr se sidq ki gali gum hai
phul lakhon hain sehn-e-gulshan mein
un ki honTon ki go hansi gum hai
mehnat-e-bagh-ban ka zikr nahin
ghul hai phulon se dil-kashi gum hai
hai taraqqi nae adab ki ye
sher se husn-e-shaeri gum hai
gham batao 'kanwal' kahan DhunDun
bazm-e-alam se dosti gum hai
Ghazal
Mah o anjum ki raushni gum hai
kanval Dibaivi