اردو हिंदी
Mah-e-kaamil ho muqabil yar ke ru se che-KHush | Shaahi Shayari
mah-e-kaamil ho muqabil yar ke ru se che-KHush

Ghazal

Mah-e-kaamil ho muqabil yar ke ru se che-KHush

Wali Uzlat

;

mah-e-kaamil ho muqabil yar ke ru se che-KHush
KHam ho dam mare hilal us tegh-e-abru se che-KHush

ek jhalak bhi yar ki shoKHi ki tujh mein nahin ai barq
tispe ham-sar ho to us ki tundi-e-KHu se che-KHush

us ki jaulan ki hawa se gai hai barbaad aur us par
muddai hai nikhat-e-gul yar ki bu se che-KHush

aankh mein hirnon ki KHak-afgan hai us ki gard-e-rah
tispe gardan-kash hain pi ke chashm-e-jadu se che-KHush

garche sumbul hai ai 'uzlat' tira-baKHt aur dagh-e-rashk
pech-o-KHam kha kar hai sarkash pi ke gesu se che-KHush