اردو हिंदी
Lutf le le ke piye hain qadah-e-gham kya kya | Shaahi Shayari
lutf le le ke piye hain qadah-e-gham kya kya

Ghazal

Lutf le le ke piye hain qadah-e-gham kya kya

Akhtar Ansari

;

lutf le le ke piye hain qadah-e-gham kya kya
hum ne firdaus banae hain jahannam kya kya

aansuon ko bhi piya jura-e-sahba ki tarah
saghar-o-jam bane dida-e-pur-nam kya kya

halqa-e-dam-e-wafa uqda-e-gham mauj-e-nashat
ye zamana bhi dikhata hai cham-o-KHam kya kya

lazzat-e-hijr kabhi ishrat-e-didar kabhi
aarzu ne bhi tabiat ko diye dam kya kya

kis kis andaz se khaTke rag-e-gul ke nashtar
tapish-afroz hue shoala-o-shabnam kya kya

sham-e-viran ki udasi shab-e-tira ka sukut
dil-e-mahzun ko mile hamdam o mahram kya kya

hae wo aalam-e-be-nam ki jis aalam mein
bit jate hain dil-e-zar pe aalim kya kya

ismat o rifat-e-anjum se KHayal aata hai
KHak mein rondi gai hurmat-e-adam kya kya

dab gae minnat-e-mazdur se aiwan kitne
jhuk gae ghairat-e-maftuh se parcham kya kiya

the musallah gham-e-mashuq se go hum 'aKHtar'
phir bhi dikhlae gham-e-dahr ne dam-KHam kya kya