lutf hi lutf hai jo kuchh hai inayat ke siwa
hai mohabbat se siwa jo hai mohabbat ke siwa
doston ke karam-e-KHas se bachne ke liye
koi gosha na mila gosha-e-uzlat ke siwa
mujh se shikwa bhi jo karte hain to ye kahte hain
kuchh bhi aata nahin kya tujh ko shikayat ke siwa
aap ke KHat ko main kis baat ka KHummar kahun
is mein sab kuchh hai bas ek harf-e-mohabbat ke siwa
jis qadar chahun gunahon pe hansun KHub hansun
ye ilaj aur bhi hai ashk-e-nadamat ke siwa
shaiKH hi hoga jo milte nahin do-chaar ayagh
kaun aa sakta hai maiKHane mein hazrat ke siwa
wo jo kahte hain ki hai fahm-o-farasat hum se
aise logon mein sabhi kuchh hai farasat ke siwa
nahin malum ki kyun ruh isi se KHush hai
ranj to aur bhi hain ranj-e-mohabbat ke siwa
rah gae rah-e-amanat mein malaek thak kar
marhala tai na hua ye meri himmat ke siwa
tum ko malum ho ai shaiKH-o-barahman to kaho
aur bhi koi ibaadat hai mohabbat ke siwa
is nai baat ko bhi 'arsh' kabhi socha hai
aaj-kal sher mein jiddat hai to jiddat ke siwa
Ghazal
Lutf hi lutf hai jo kuchh hai inayat ke siwa
Arsh Malsiyani

