lutf-e-wafa nahin ki wo bedad-gar nahin
KHamosh hun ki meri fughan be-asar nahin
tere baghair talKHi-e-kaam-o-dahan haram
dard-e-jigar hai lazzat-e-dard-e-jigar nahin
sajdon se na-murad hai jalwon se na-umid
wo rahguzar ki ab jo teri rahguzar nahin
tum kya gae ki sara zamana chala gaya
wo raat-din nahin hain wo sham-o-sahar nahin
har har rawish muamla-e-husn-o-ashiqi
har har qadam farogh-e-jamal-e-nazar nahin
bebak chaal chaal se bebak-tar nazar
ab husn to bahut hai magar fitna-gar nahin
zaKHmon se chur qafile pur-KHar raste
is mein tera qusur to ai rahbar nahin
duniya-e-chashm-o-gosh to barbaad ho gai
ab kuchh baghair marka-e-KHair-o-shar nahin
Ghazal
Lutf-e-wafa nahin ki wo bedad-gar nahin
Mohammad Deen Taseer