luTa raha hun main lal-o-gohar andhere mein 
talash karti hai kis ko nazar andhere mein 
wo jis ki rah mein main ne diye jalae the 
gaya wo shaKHs mujhe chhoD kar andhere mein 
charagh kaun uTha le gaya mere ghar se 
sisak rahe hain mere baam-o-dar andhere mein 
tha tirgi ke janaze pe ek hashr bapa 
jo us ke aane se phaili KHabar andhere mein 
koi hatheli pe phirta hai aaftab liye 
bhaTak raha hai koi dar-ba-dar andhere mein 
mein koh-e-nur hun nadan tujhe KHabar bhi nahin 
mujhe chhupane ki koshish na kar andhere mein 
musafiron ko wo rahen dikhaega 'afzal' 
charagh rakh do sar-e-rahguzar andhere mein
        Ghazal
LuTa raha hun main lal-o-gohar andhere mein
Afzal Allahabadi

