luT gaya dil kahan nahin malum
kya hua hai ziyan nahin malum
ab qafas mein hi rahne de sayyaad
tha kahan aashiyan nahin malum
tu hi aa kar sikha de o bulbul
mujh ko tarz-e-fughan nahin malum
aap hi se faqat hai dilchaspi
aur dilchaspiyan nahin malum
wae taqdir kya qayamat hai
jae dard-e-nihan nahin malum
yaad hone lagi kahan apni
aain kyun hichkiyan nahin malum
mujh ko teri kahani aati hai
aur koi dastan nahin malum
main azal se fidai hun jis ka
us ka nam-o-nishan nahin malum
pairaw-e-'mir' hun main ai 'nadir'
ghair ko ye zaban nahin malum

Ghazal
LuT gaya dil kahan nahin malum
Nadir Shahjahanpuri