اردو हिंदी
Logon ne aakash se uncha ja kar tamghe pae | Shaahi Shayari
logon ne aakash se uncha ja kar tamghe pae

Ghazal

Logon ne aakash se uncha ja kar tamghe pae

Hussain Majid

;

logon ne aakash se uncha ja kar tamghe pae
hum ne apna antar khoja diwane kahlae

kaise sapne kis ki aasha kab se hain mehman bane
tanhai ke sune aangan mein yaadon ke sae

aankhon mein jo aaj kisi ke badli ban ke jhum uThi hai
kya achchha ho aisi barse sab jal-thal ho jae

dhul bane ye baat alag hai warna ek din hote the
chanda ke hum sanghi-sathi taron ke ham-sae

aane wale ek pal ko main kaise batla paunga
aasha kab se dur khaDi hai bahon ko phailae

chand aur suraj donon aashiq dharti kis ka man rakhe
ek chandi ke gahne phenke ek sona bikhrae

kahne ki to baat nahin hai lekin kahni paDti hai
dil ki nagri mein mat jaana jo jae pachhtae

'majid' hum ne is jug se bas do hi chizen mangi hain
usha sa ek sundar chehra do nainan sharmae