log sah lete the hans kar kabhi be-zari bhi
ab to mashkuk hui apni milan-sari bhi
war kuchh KHali gae mere to phir aa hi gai
apne dushman ko dua dene ki hushyari bhi
umr bhar kis ne bhala ghaur se dekha tha mujhe
waqt kam ho to saja deti hai bimari bhi
kis tarah aae hain is pahli mulaqat talak
aur mukammal hai juda hone ki tayyari bhi
ub jata hun zehanat ki numaish se to phir
lutf deta hai ye lahja mujhe bazari bhi
umr baDhti hai magar hum wahin Thahre hue hain
Thokaren khain to kuchh aae samajhdari bhi
ab jo kirdar mujhe karna hai mushkil hai bahut
mast hone ka dikhawa bhi hai sar bhaari bhi
Ghazal
Log sah lete the hans kar kabhi be-zari bhi
Shariq Kaifi