log kyun hum se shikayat ki tawaqqo rakhen
hain KHud-azar bhi itne ki sitamgar roen
ab to aati hain kuchh is tarah tumhaari yaaden
dhup mein jaise kisi chehre se baadal guzren
matam-e-ghuncha mein roe hain nadamat hai bahut
shiddat-e-gham mein raha pas-e-tabassum na hamein
ab gham-e-dil ka safina hai ki dariya mange
aur ye rona hai ki aansu bhi nahin aankhon mein
hum se lipTi hui talwar ho jaise yaro
ek naya zaKHm sulagta hai jo karwaT badlen
tujh ko dekha jo na hota to KHuda kah lete
ye bhi mushkil nazar aata hai ki patthar pujen
wo karam hai tera sanson mein sunai dena
ye sitam hai ki tujhe DhunDh rahi hain aankhen
'hashami' jism nazar aata hai suli ki tarah
jab masiha ke liye pyar se bazu kholin

Ghazal
Log kyun humse shikayat ki tawaqqo rakhen
Jaleel Hashmi