اردو हिंदी
Log hansne ke liye rote hain akasr dahr mein | Shaahi Shayari
log hansne ke liye rote hain akasr dahr mein

Ghazal

Log hansne ke liye rote hain akasr dahr mein

Afzal Minhas

;

log hansne ke liye rote hain akasr dahr mein
talKHiyan KHud hi mila lete hain miThe zahr mein

pyar ke chashmon ka pani jab se khaara ho gaya
sari duniya ghir gai hai nafraton ke qahr mein

waqt kahta hai ubharte Dubte chehron ko dekh
aaj to raunaq baDi hai hadson ki nahr mein

jaane ye hiddat chaman ko ras aae ya nahin
aag jaisi kaifiyat hai KHushbuon ki lahr mein

hum ne palkon par saja rakhe hain ashkon ke charagh
ek mela sa laga hai raushni ke shahr mein

chand aawazen taaqub mein hain 'afzal' aaj bhi
qurbaton ka shahd hai tanhaiyon ke zahr mein