log baiThe hain yahan hathon mein KHanjar le kar
tum kahan aa gae ye shaKH-e-gul-e-tar le kar
bhige bhige se mere ghar ke dar-o-baam mile
shayad aaya tha yahan koi samundar le kar
ab mujhe aur kisi shai ki tamanna na rahi
mutmain hun teri dahliz ka patthar le kar
meri qismat mein sulagne ke siwa kuchh bhi nahin
kya karoge bhala tum mera muqaddar le kar
KHushk honTon ne mere jism ka ras chus liya
ab koi aae to kya faeda saghar le kar
sidhe raste koi aata hi nahin meri taraf
gardish-e-waqt bhi aati hai to chakkar le kar
apne dil ko na kare ab koi halka 'azar'
warna main jaunga ek bojh sa dil par le kar

Ghazal
Log baiThe hain yahan hathon mein KHanjar le kar
Mushtaq Aazar Fareedi