lillahil-hamd ki dil shola-fishan hai ab tak
pir hai jism magar taba jawan hai ab tak
barf-bari hai mah o sal ki sar par lekin
KHun mein garmi-e-pahlu-e-butan hai ab tak
sar pe har chand mah o sal ka ghaltan hai ghubar
fikr mein tab-o-tab-e-kahkashan hai ab tak
kab se nabzon mein wo jhankar nahin hai phir bhi
sher mein zamzama-e-ab-e-rawan hai ab tak
lillahil-hamd ki darbar-e-KHarabaat ki KHak
surma-e-dida-e-sahib-nazran hai ab tak
zindagi kab se hai kanTon ki tijarat se figar
phir bhi taKHil mein phulon ki dukan hai ab tak
farq par waqt ka pathrao hai kab se jari
zehn mein kargah-e-shishagaran hai ab tak
kis se kahiye ki ba-in fikr mera tar-e-wajud
zaKHma-e-ghaib se larzan o tapan hai ab tak
kab se hun munkir-e-gulbang-e-malaek phir bhi
dil pe jibril ki dastak ka guman hai ab tak
kab se hun basta-e-naqus-o-mazamir-e-butan
phir bhi sine mein koi garm-azan hai ab tak
saKHt hairan hun ki is kufr ke jangal mein bhi 'josh'
chashm-e-yazdan meri jaanib nigran hai ab tak
Ghazal
Lillahil-hamd ki dil shola-fishan hai ab tak
Josh Malihabadi