likha hai mujh ko bhi likhna paDa hai
jahan se hashiya chhoDa gaya hai
agar manus hai tum se parinda
to phir uDne ko par kyun tolta hai
kahin kuchh hai kahin kuchh hai kahin kuchh
mera saman sab bikhra hua hai
main ja baiThun kisi bargad ke niche
sukun ka bas yahi ek rasta hai
qayamat dekhiye meri nazar se
sawa neze pe suraj aa gaya hai
shajar jaane kahan ja kar lagega
jise dariya baha kar le gaya hai
abhi to ghar nahin chhoDa hai main ne
ye kis ka nam taKHti par likha hai
bahut roka hai is ko pattharon ne
magar pani ko rasta mil gaya hai
Ghazal
Likha hai mujhko bhi likhna paDa hai
Akhtar Nazmi