likh kar waraq-e-dil se miTane nahin hote
kuchh lafz hain aise jo purane nahin hote
jab chahe koi phunk de KHwabon ke nasheman
aankhon ke ujaDne ke zamane nahin hote
jo zaKHm azizon ne mohabbat se diye hon
wo zaKHm zamane ko dikhane nahin hote
ho jae jahan sham wahin un ka basera
aawara parindon ke Thikane nahin hote
be-wajh talluq koi be-nam rifaqat
jine ke liye kam ye bahane nahin hote
kahne ko to is shahr mein kuchh bhi nahin badla
mausam magar ab utne suhane nahin hote
sine mein kasak ban ke base rahte hain barson
lamhe jo palaT kar kabhi aane nahin hote
aashufta-sari mein hunar-e-harf-o-nawa kya
lafzon mein bayan gham ke fasane nahin hote
'maKHmur' ye ab kya hai ki bar-e-gham-e-dil se
bojhal mere ehsas ke shane nahin hote
Ghazal
Likh kar waraq-e-dil se miTane nahin hote
Makhmoor Saeedi