le ke mazi ko jo haal aaya to dil kanp gaya 
jab kabhi un ka KHayal aaya to dil kanp gaya 
aisa toDa tha mohabbat mein kisi ne dil ko 
jab kisi shishe mein baal aaya to dil kanp gaya 
sar-bulandi pe to maghrur the hum bhi lekin 
chaDhte suraj pe zawal aaya to dil kanp gaya 
bad nazar uThne hi wali thi kisi ki jaanib 
apni beTi ka KHayal aaya to dil kanp gaya
        Ghazal
Le ke mazi ko jo haal aaya to dil kanp gaya
Nawaz Deobandi

